Aaj phir kuch dil me khatak si hai... Sulajhi-unsulajhi kuch khayalon ki dastak si hai. kyun apno me apnapan gum sa lagta hai? kyun hazaron me bhi khud ko akela paati hun? kyun khali aasman me bhi kuch dhundh sa lagta hai? Chal padi hun jis raah pe wo badi anjaan si hai... Sahi-galat ka pata nahi mujhko... Dil aur dimaag me machi hui gamasaan si hai. Udate huye parindo se bhi mujhko to ab jalan hoti hai kisi par ye ilzaam nahi hai dosto... Ye Noopur to khud me hi khud ko pati aur fir khoti hai. Dil to uska bhi hai masoom hi, par dimaag deta rehta hai dakhal... Samjh Samjh ke bhi koi samjhe na usko... Dab ke baitha hai kisi kone me, nahi daalta ab kisi mamle me khalal. Aaj phir kuch dil me khatak si hai... Sulajhi-unsulajhi kuch khayalon ki dastak si hai. Noopur :)